Excel total formula

on Saturday, 14 September 2013

Excel total formula

friends aaj mera lecture yeh hai ke Excel mein jo hum numbers/ marks likhte hain unko total kaise karte hain os ka main aap ko  excel formula bata raha hoon follow bellow picture.



    A          B       C        D           E           F
English Sindhi Urdu Maths Computer Total
   56        85      90       78          70        379


bas es tarah se column mein marks likh ke agar aap chahto column barha sakte ho kam bhi kar sakte ho, 
Now total kaaren sab se pehla column choose karen English paper ki marks jo A column main aap ko nazar aa rahi hai os ki second (2) Row hain aur ab aap column ke last subject wala count karenge, last column mein subject Computer hai aur E column hai aur ki row bhi second (2) hai.
ab hum sab ko formula laga ke total karenge jaisa ke aap dekh rahe hai ko Total F wale column mein likha huwa hai aur hum os ke neeche second (2) row comuter ki marks ke sanme formula lagayenge.
=SUM(A2:E2) Enter
es formula se A column se le kar E column tak marks add karenga, total ka dosra bhi formula hai.
=SUM(A2+B2+C2+D2+E2) enter
es formula mein column by column add kiya gaya hai jitne column ho bas wo likh ke + ki symbol dete jao aur braket mein band kar ke enter karo to marks total kar dega.
aap ki knowledge mein aur bhi izafa karne ja raha hoon.
Excel mein Columns 256
65536 Rows.
aur jab hum 256x65536 karenge to es ka answer ye aayega 1,67,77,216 jo ke yeh Cells hain.
aur Excel mein last column IV hai. os ka shortcut ctrl+right arrow hai.
Ranking: 5

{ 0 comments... read them below or add one }

Post a Comment

UpLoad Your Picture

advertiser

Search This Blog

advertiser